Urdu Poetry by Asadullah Khan Ghalib

Classical Music of North India
Post Reply
param
Posts: 255
Joined: 21 Oct 2005, 14:19

Post by param »

Dear All,

Ghalib is known to have penned a lot of poems - many of which are popular ghazals sung by great artistes ranging from Master Madan to the current day restaurant singers).

Yeh baat to duniyaa jaanti hai ki, kisi shaayar ne Ghalib ke baare mein kaha tha..........

Kalaam-e-Meer samjhe aur jubaan-e-Meerja samjhe
Magar inka (Ghalib) kaha ye aap samjhein ya khuda samjhe


Many a poem I like very much, and one such is reproduced below. Could we take this up for discussion, please?

Arz kiya hai:

sab kahaN, kuch laala-o-gul meiN numaayaN ho gayiiN
khaak meiN, kya surateiN hongi jo pinhaaN ho gayiiN

yaad thhiiN hum ko bhi, rang-a-rang bazm aaraaiyaaN
lekin ab naqsh-o-nigaar-e-taaq-e-nisyaaN ho gayiiN

thhiiN banaat-un-Na'ash-e-garduN din ko parde meiN nihaaN
shab ko unke jee meiN kya aayi ke uriyaaN ho gayiiN

qaid meiN, Yaqub ne, lee go na Yousuf ki khabar
lekin aankheN rozan-e-deewar-e-zindaaN ho gayiiN

sab raqeeboN se hoN na khush, par zanaan-e-Misr se
hai Zulekha khush, ke mahv-e-maah-e-Ka'naaN ho gayiiN

ju-e-khooN aankhoN se behne do ke hai shaam-e-firaaq
main yeh samjhunga ke sham'eiN do firozaaN ho gayiiN

in parizadoN se lenge khuld meiN hum intaqaam
qudrat-e-haq se yahi, hooreiN, agar waaN ho gayiiN

neend uski hai, dimaagh us ka hai, raateiN uski haiN
teri zulfeiN jis ke baazu par pareshaaN ho gayiiN

maiN chaman meiN kya gaya, goya dabistaaN khul gaya
bulbuleiN sun kar mere naale, ghazalkhwaaN ho gayiiN

woh nigaheN kyoN hui jaati haiN ya rab! dil ke paar
jo meri kotaahi-e-qismat se mizhgaaN ho gayiiN

jaaNfaza hai baada, jis ke haath meiN jaam aa gaya
sab lakeereN haath ki goya rag-e-jaaN ho gayiiN

hum muwahhid haiN, hamara kesh hai tark-e-rusoom
millatheiN jab mit gayiiN, ajza-e-iimaaN ho gayiiN

ranj se khugar hua insaaN, tau mit jaata hai ranj
mushkileiN mujh par padeeN itni ke aasaaN ho gayiiN

yuNhi rota gar raha Ghalib, tau ai ahl-e-jahaaN!
dekhna in bastiyoN ko tum ke viraaN ho gayiiN
Last edited by param on 05 Sep 2006, 10:12, edited 1 time in total.

arasi
Posts: 16789
Joined: 22 Jun 2006, 09:30

Post by arasi »

param,
Thank you for posting Ghalib's ghazal. I am reading it and enjoying bits of it. Wish someone with better understanding gives us the meaning.
Last edited by arasi on 11 Sep 2006, 04:25, edited 1 time in total.

meena
Posts: 3326
Joined: 21 May 2005, 13:57

Post by meena »

I will make an attempt to share my knowledge. This is one of the most difficult poems of Ghalib. Let me try to give you a better understanding para by para.
umeee interesting, same exact meaning has been posted on:
DELETED

scroll down the link and see 'Daanish99'
Last edited by meena on 07 May 2008, 01:29, edited 1 time in total.

arasi
Posts: 16789
Joined: 22 Jun 2006, 09:30

Post by arasi »

Thanks Meena. Now, Ravi and Param can get to work when they find the time.

Post Reply